AssistMeIndia - About Blogging, Internet, Earn Money in Hindi

Assist Me India - Hindi Me Padhe Aur Sikhe

Tuesday 27 July 2021

SEO Kya Hai Aur Kaise Karte Hai ? -- SEO Full Guide in Hindi


SEO (Search Engine Optimization) Kya hai aur ye kyun jaruri hai iske kya kya fayde hai SEO ka use kaise karte hain SEO ki puri jankari Hindi me SEO Full Guide in Hindi.







Blogging world me SEO bahut jaruri hai isliye apko SEO ke baare me samajhna bahut jaruri hai Blog banana kaafi nahi hai hame apne blog ko search ranking me top par laane ki liye SEO ki puri jankari honi chaiye tabhi aap ek acche blogger saabit honge Dosto is post me ham yahi janenge ki SEO kya hota hai iske fayde kya hai aur ye kyu jaruri hai.




Bahut se logo ko aisa lagta hai ki SEO karne se kuch nahi hota agar aap bhi aisa hi sochte hai to aap galat hai. SEO blogging ka heart hota hai jo blogging ke liye jaruri hai. Beginners ke liye sabse badi muskhil tab aati hai jab wo puri mehnat aur lagan se ek acha blog to bana lete hai par unko ye nahi pata hota ki blog ko search ranking me top par kaise laya jata hai. New blogger sabse jyada pareshan blog banane ke baad hote hai ki unka blog Google, Bing, Yahoo search result me nahi dikh raha


Is wajah se kuch blogger nirash hokar blogging karna band kar dete hai aur iski sabse badi wajah hai Organic Traffic na mil pana iske baare me main apko aage samjhaunga.



SEO (Search Engine Optimization) Kya Hai ?

Search Engine Optimization jaisa ki naam me hi ans chupa hai ki ye hamari Website/Blog ko search engine me optimize karke search engine result me top par show karta hai SEO hame organic traffic provide karta hai. Organic traffic wo traffic hai jo hame search engine se milta hai jitna jyada traffic milega utni jaldi apka blog search result ke top par aa jayega.


SEO Kitne Tarah Ke Hote Hai ?

Basically SEO 2 tarah ke hote hai ek hota hai On-Page-SEO aur dusra hota hai Off-Page-SEO.


On-Page-SEO ➪ Ab me apko On-Page-SEO ke baare me bataunga ki ye hota kya hai. To doston apko ye pata hi hoga ki On-Page-SEO seo ka hi ek part hai aur ye website/blog ke single webpage or post ko Optimize (अनुकूल /improve) karke higher (organic) traffic provide karta hai jisse wo webpage/post ko high rank milti hai aur jaldi hi wo post google search engine ke result me top par aa jata hai.


Ab me apko kuch important terms batane ja raha hun jiska istemaal karne se apka blog SEO friendly bhi ho jayega aur search engine me aapka blog top rank me aa jayega aur isse organic traffic bhi increase ho jaega.


Chaliye jaante hai On-Page-SEO ke kuch important points:-


𑂽 Blog post ka Title
𑂽 Multimedia ka use
𑂽 Post ki Heading
𛲠 Blog post Permalink ka use
𛲠 Add Meta Tag Description
𛲠 Post me Internal aur External Page ko use karna
𛲠 Keywords Ka Use
𛲠 Fast Loading Site
𛲠 High Quality Content
𛲠 Post Title me Keywords ka Use
𛲠 Post me Keywords ka Use
𛲠 Social Media ka Use
 Backlinks kaise karen
 Post Content ki Lenght


Ye onpage seo ke kuch points hai jo blog ko achi ranking dilane me madadgar saabit hoga. Upar maine apko kuch points bataye hai ab ham iske baare me detail me samjhenge, Doston is post me pura aur dhyan se padhiye kahi kuch miss na ho jaye.


Chaliye to shuruaat karte hai SEO perfect banne ki


𑂽 Blog post ka Title 

 Sabse important point blog post ka title select karna. Hame post ka Title bohot hi soch samaj kar rakhna chaiye jo sabse jyada searchable ho search engine me matlab pehle ham ye dekhe ki hamare post ka topic kya hai us topic ke hisaab se ham wo topic Google Trends par search karenge ki kaunsa topic trending me hai aur us topic ki ranking kitni hai. Kitni baar us topic ko search engine me search kiya gaya hai Google Trends ka ye features use karke aap apne Blog post ka Title select karen. Title jitna jyada attractive hoga apke blog ki ranking ke liye acha rahega. Agar title classy choose karenge to visitors us title me jakar apka post jarur padhenge jo apke blog ki ranking increase karne me madad karega.


 𑂽 Multimedia ka use 

 Blog post me Multimedia ka istemaal bohot avashyak hai. Kis tarah se aap blog me multimedia ka use kar sakte hai. Post me Images aur Video ka use bhi SEO karne ka ek step hai. Images aisi honi chaiye ki dekhte hi us image par click karne se koi khud ko rok na paaye. Image attractive honi chaiye jisko dekhkar visitors magnet ki tarah apke blog par khiche chale aaye. Image ko clear banaye uski quality achi honi chaiye jo saaf saaf dikhe blur image use na kare isse dusro ko samajhne me pareshani hogi aur dubara apke blog par koi nahi ayega.


Apki images post se related hi honi chaiye bewajah ki images na post karen aur jyada photo bhi add nahi karna chaiye jitni jarurat ho post ke hisab se utni photo post me rakhen.


Images me alt tag ke sath title jarur add karen ye apke blog ki ranking ke liye jaroori hai aur haan aap images me targetting keyword ka use bhi kar sakte hai isse apki photo SEO friendly ho jayegi.


Post se related images ka hi use karen, images ki quality achi rakhen, alt tag title keywords images me add karen, jyada aur bina post se related image use na karen, image size kam rakhen.


𑂽 Post ki Heading 

 Post ki heading 5 tarah ki hoti hai Like Heading, Sub-heading, Minor Heading, Normal. H1, H2, H3, H4, H5 ye heading tag hote hai inka use bohot dhyan se karna chaiye. Ye SEO ke liye acha hai. Blog post me title already H1 tag me hota hai hame h2 or h3 tag ka use karna chaiye par dhyan rahe isse baar baar ek hi post ke content me istemaal na karen. Ek post me 1-2 baar hi in tag ka use karen aisa na karne se apke blog ki ranking down ho jayegi. Heading se post jyada attractive aur user friendly banta hai or ye apke blog ki ranking ke liye acha hai.


𛲠 Blog post Permalink ka use 

 Permalink SEO ke liye jarori hai. New post open karenge uske right side me kuch options dikhenge 'post settings' likha hoga waha apko 'links' ka option dikhega uspar click karenge to apko 2 option aur dikhenge 'automatic permalink' 'custom permalink'. agar aap khud permalink add karenge to jyada better hoga. Permalink chota hona chaiye aur usme targetting keywords aur title add karna chaiye. 'custom permalink' me jakar aap apne hisab se permalink set kar sakte hai.


𛲠 Add Meta Tag Description 

 Apne post me Meta Tag Description jarur add karen ye apke blog ki ranking increase karne me help karta hai. Meta Description ki lenght 150 - 180 ke bich ki honi chaiye. Meta description me post se related keywords hi istemaal hone chaiye isse apka blog search engine result me achi ranking par aa jaega. Meta Description aisa hona chaiye jo user sabse jyada search karta ho.


𛲠 Post me Internal aur External Page ko use karna 

 SEO ke liye Internal aur External use jarur karna chaiye. Kisi dusre website/blog ki link ko apne blog me add karna aur khud ke blog ki link ko bhi apne dusre post me add karne se bhi traffic increase hota hai.


  • Internal Link me aap apne kisi post ki link ko dusre post me add karna hota hai aur ye SEO ke liye bhi acha sabit hota hai. Par haan aap jis bhi post ki link add karen wo current post se related hi hona chaiye jaise aap Internet ke baare me post likh rahe hai to aap internet se related hi post ki link ko add karen.

  • External Link me aapko kisi dusre website/blog ki link ko apne blog me add karna hota hai. Isse apki search ranking badhegi aur traffic bhi increase hoga aur ye bhi SEO ke liye acha hai. Agar mera post SEO se related hai toh mujhe SEO se related hi link apne post me add karni padegi. Dhyan rakhen unrelated link post me add na karen aur kisi bhi aisi site ke link add na karen jo site malicious ya infected ho matlab ki koi 'bad site' 'Adu*t' site.

𛲠 Keywords Ka Use

Blog post me keywords ka use jarur karna chaiye ye SEO ke liye badhiya to hai hi sath me isse koi bhi user search engine me koi keyword search kare aur wo keyword apke post se match kar jaaye toh search engine apke post ko sabse pehle show karega aur isse apki search ranking toh increase hogi hi sath me traffic bhi badh jaega. Aap post me keywords to use karen par jyada keywords use karna SEO ke liye acha nahi mana jata. Post me kam keyword use karen par jo bhi use karte hai wo post se related hi karen. Me apko suggest karunga ki aap keyword ko post ke Top, Middle aur bottom me use karen.


𛲠 Fast Loading Site

Apka blog fast loading hona chaiye matlab koi user apke blog par jaye aur wo blog open hone me time le raha hai to wo user apki site se dusri site par switch kar jayega jiski site jaldi open ho jaye. Google bhi unhi site ko top par dikhata hai jiski site ki loading fast ho matlab jo site jaldi open ho jaye. 

Apni site ko fast loading karne ke liye apko chaiye ki aap Template achi use karen jo simple ho jyada attractive template select karenge to usme bohot sare unused features honge jo apki site ki loading slow kar de.

Html bohot jyada add na karen apne blog me ye bhi loading slow karne ka ek reason hai. Jyada badi size ki images ko bhi avoid karna chaiye.

Aur Gadgets bhi utne hi use karen jo jaruri hai bina wajah ke gadget use na karen. Kuch log blog ko attractive banane ke chakkar me bohot sare gadget ka use karte hai jo unki site ki loading ko bohot jyada slow kar deta hai. Agar apne bhi aise gadget install kiye hai blog me to unhe abhi Blog Layout me jakar remove kar den. 



𛲠 High Quality Content

Apne blog post me high quality content likhen jo sabse jyada unique ho. Kehne ka matlab ye hai ki aise content likhe jo sirf apke blog par ho baki kahi bhi aise content na mile apka post ekdam unique content ka hona chaiye. Khud se likhe khud ke shabdo me. Kabhi bhi content kisi aur site se copy na karen. Aise content likhen ko internet par bohot kam hai matlab 'Adsense' se related koi topic ko aur search karne par pata chale ki usme bohot kam logo ne content likha hai to aap usi par post likhen aur aisa likhen jo internet par Viral ho jaye.


𛲠 Post Title me Keywords ka Use

Post ke title me hamesha post se related keyword ka hi istemaal karna chaiye. Post title me jaruri keyword hi use karen. Jis topic par post likh rahe hai title me bhi wahi keyword use karen aur kam aur jaruri keyword ko hi likhen.


𛲠 Post me Keywords ka Use

Post likhte samay jaruri keywords likhna na bhule ye SEO ke liye bohot important hai.


𛲠 Social Media ka Use

Social Media ka istemaal hame blog ki traffic increase karne ke liye jaroor karna chaiye. Apne blog ke naam se Facebook, Instagram, Google+, Twitter, Youtube par account banaye aur apne post ki link ko Social Media par share karen. Post ke end me Social Media Share Button bhi jarur lagaye isse hamare blog ke visitors increase ho jayenge. Aur waise bhi Social Media ka power to sab ko pata hi hai 2 min nahi lagte kisi chiz ko viral karne me.



 Backlinks kaise karen

Backlink SEO k liye behad jaruri factor hai. Ye ek kadi hai jo ek blog ko dusre blog se jodta hai mera kehne ka ye matlab hai ki aap ek SEO se related post likh rahe hai to aap apni post me dusre blog ki link (jo SEO se related ho) add kar sakte hain isse apko us blog ki backlink milegi ho sake to aise blog ki link add kare jo bohot popular hai. Backlink ke liye aap dusre blog par comment kariye aur Guest posting se bhi backlinks milta hai.



 Post Content ki Lenght



SEO me post ke content ki length (matlab apka blog post kitne Words ka hai) mayne rakhti hai. Google bhi usi post ko high ranking deta hai jiske post ki lenght 1000+ words ki hai. Aisa jaruri nahi hai ki har post ki lenght 1000+ hi ho ye to apke topic par depend karta hai par aap apne post ke liye minimum 700 words to jarur rakhe aur post jitna bada hoga utna apke SEO ke liye fayda hoga. Haan dhyan rahe ki aap post me koi bhi Line ko repeat na karen.





To doston hamne abhi ye sikha ki onpage SEO ke important Terms kya kya hote hain.


Ab me aapko Off-Page SEO ke terms bataunga iske liye apko hamara pura post padhna hoga agar aap apne blog ko SEO friendly karna chahte hai toh.


Off-Page SEO kya hota hai ?

Off-Page SEO ko Off-Site SEO bhi kehte hain. Blog ke bahar kiya gaya kaam jo hamare blog ki ranking Search Engine Result Pages (SERPs) me impact karta hai. Bahut log sochte hai ki off-site SEO matlab Link Building aur Backlinks banana hota hai par ye puri tarah sach nahi hai.

off-site SEO bhi on-site SEO ki tarah jaroori hota hai ek tarah se maane to ye blogging ki dhadkan hai jab tak SEO achi tarah se chal rahi hai to iski dhadkan bhi chalti rahegi (matlab apki search ranking) agar choti si bhi galti ki to dhadkan ruk jayegi (Search ranking par asar padega). 

Off-page SEO ke factors search engine aur blog ki popularity, relevance (प्रासंगिकता), trustworthiness aur authority me sudhaar karna hota hai.

Google apne Search Engine aur ranking algorithm lagatar update karta rehta hai. SEO ke liye relevance, trustworthiness aur authority off-site SEO ke liye important role adaa karta hai.



Chaliye Jaante hai Off-page SEO ke kuch Important Points:-



🔀 Backlinks Banaye
🔀 Social Media
⬐ Social Bookmarking Sites
🔀 Forum Submission
🔀 Blog Directory Submission Sites
🔀 Guest Blogging
🔀 Article Submission Sites
⬈ Question & Answer Sites
🔀 Media Submission
🔀 Infographic Submission
🔀 Document Sharing



Ab hum in points ko विस्तार से समझेंगे | 



🔀 Backlinks Banaye


Abhi maine aapko jitne bhi off-page SEO ke points bataye wo sab Backlinks banane me hi help karte hain. Isliye in sabhi points ko acche se follow kariye.


🔀 Social Media Sharing


Apne blog/website ki traffic badhane ke liye social media ka istemal karna chaiye. Ham mostly social media par chat karte hai ya photo video jokes share karte hai. Aap apne friends ya group me apne blog ko share karen.

https://www.facebook.com

https://www.linkedin.com

https://twitter.com

https://www.pinterest.com

https://plus.google.com

https://www.instagram.com

https://www.tumblr.com



⬐ Social Bookmarking Sites


Apne blog post ko social bookmarking sites par share/post kare isse apko us page/post ko ache visitors milte hai jisse apka wo post achi rank par pahuch jata hai aur isse apko backlink bhi milti hai.

http://stumbleupon.com

https://dribbble.com

https://getpocket.com

http://digg.com

https://www.reddit.com

https://weheartit.com

https://www.scoop.it



🔀 Forum Submission


Forum Submission sites apko DA (Domain Authority) Dofollow backlink deta hai.

http://www.metacafe.com

https://forum.bodybuilding.com

https://www.digitalocean.com/community

http://forum.seopanel.in

https://bbpress.org/forums

http://forums.seochat.com

https://www.flickr.com/help/forum/en-us

http://forums.hostgator.com

https://ckeditor.com/old/forums

https://www.addthis.com/forum 



🔀 Blog Directory Submission Sites


Blog Directory sites par jaaye to apne blog ko submit kare isse apke blog ko long term tak fayda milega. Add Site or Submit Site par click karke apne blog ko submit karen.

http://www.facebook-list.com/submit.php

http://www.domainnamesseo.com/submit.php

https://www.elecdir.com

http://www.a1webdirectory.org

http://blogflux.com



🔀 Guest Blogging



Guest blogging bahut hi important factor hai ise ham sahi tarike se laagu karenge to hame genuine traffic/ranking/backlink milenge.

Sabse pehle to aap us blog par jaaye jo bahut popular hai fir waha guest post karen. Matlab aap ek khud ka article likhe aur usko dusre blog par post karen isse apko achi khasi backlinks milti hai.

Aur aap dusro ko bhi convince kare ki wo apke blog par Guest post karen.



🔀 Article Submission Sites



Article Submission Sites blog traffic increase karne me aham role adaa karti hai.

https://github.com

https://articlesdir.org

https://www.articlerich.com

http://ezinearticles.com

https://www.thefreelibrary.com

http://ezinearticles.com

https://www.brighthub.com

https://hubpages.com

http://www.magportal.com



⬈ Question & Answer Sites



Question and Answer wali sites par join karke topic se related question puch sakte hai aur dusro ke question ka answer bhi de sakte hai aur apni website / blog ka link dena na bhule isse apko backlinks milti hai.

https://answers.yahoo.com

https://www.blurtit.com/

http://www.answers.com/Q/

https://www.askmehelpdesk.com/

https://www.askdeb.com/

https://www.ehow.com/

https://www.quora.com/



🔀 Media Submission



Media Submission sites par jakar aap apne blog ke images aur videos share kar sakte hai .

https://www.dailymotion.com/in

https://www.hulu.com/welcome

https://vine.co/

https://vimeo.com/

https://www.youtube.com/



🔀 Infographic Submission



Infographic Submission Sites par jakar aap apne images aur video share kar backlink paa sakte hain.

http://www.nerdgraph.com/

https://www.infographiclove.com/

https://www.reddit.com/r/Infographics

https://visual.ly/

http://submitinfographics.com/



🔀 Document Sharing



Ducument sharing sites par aap apne blog post ko .ppt ya pdf format me share kar sakte hai. Isse apko backlink milte hain.

https://www.slideshare.net/

https://www.box.com/

https://en.calameo.com/

https://www.zoho.com/docs/

https://www.keepandshare.com/

https://www.4shared.com/

https://www.mediafire.com/


Ab apko On-page aur Off-page SEO samaj aa gaya hoga. Ab apko bas ek kaam karna hai iss post ko pura padhe aur step by step apne blog me implement karen.

Aur haan doston  mere likhe post se apko kuch b help milti hai toh is post me comment jarur karen aur is post ko apne doston se social media par share karen.

49 comments:

  1. Thank you!! 2019 top social bookmarking ka list de skte hai wo bhi sahi mein jo kaam karta ho.
    http://blog.rajcreatives.com/

    ReplyDelete
    Replies
    1. https://assistmeindia.blogspot.com/2019/01/seo-ki-poori-jankari-hindi-me.html ==> is post me apko social bookmarking site ki list mil jayegi

      Delete
  2. Awesome post. 100% Quility post hai ye bhai. pahle to socha tha ke isme wahi purani wali battein hogi par bhut mst post likhi hai.

    Thanks
    Lalit Mittal
    https://www.seokhazanas.com/

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you bhai.. mujhe khushi hai ki apko meri post pasand aayi.

      Delete
  3. Nice post. Thank you for sharing. Visit telugu cinema news and gossips for latest movie news and updates.

    ReplyDelete
  4. बहुत अच्छा post है
    https://www.lgarvindgupta.com/seo-kya-hota-hai/

    ReplyDelete
  5. I have read all the comments and suggestions posted by the visitors for this article are very fine,We will wait for your next article so only.Thanks! Buy Spotify Followers

    ReplyDelete
  6. This makes it quite impossible for them to diagnose the problem and implement solutions quickly. 软文代写

    ReplyDelete
  7. Friends Today I tell a seo tool which help to increse traffic on your website and blog. Daily Minimum traffic come 1000 in single day & maxmium 5000 traffic on website come by this tool.
    Download Seo Tool : - Click Here |
    Fiverr Trick :- Click Here |
    Earn Money by this superduper freelancing websites: Click Here |
    Register your website this site start to earn money - Click Here |
    Without Registion Classified Websites :- Click Here

    ReplyDelete
  8. apne seo kya hota hai ke bare me bhut hi aache trike se bataya hai.

    ReplyDelete
  9. Thanks for your interesting information's in this blog is very much useful for me to improve my knowledge for more information about
    I feel this is one of the such a lot important information for me. And i am happy studying your blog.Search Engine Marketing Singapore
    Internet Marketing Singapore
    SEM Company Singapore
    SEM Agency

    ReplyDelete
  10. It is amazing and wonderful to visit your site.Thanks for sharing this information,this is useful to me...
    http://chennaitraining.in/base-sas-training-in-chennai/
    http://chennaitraining.in/abinitio-training-in-chennai/
    http://chennaitraining.in/datastage-training-in-chennai/
    http://chennaitraining.in/cognos-training-in-chennai/
    http://chennaitraining.in/cognos-tm1-training-in-chennai/
    http://chennaitraining.in/microstrategy-training-in-chennai/
    http://chennaitraining.in/qlikview-training-in-chennai/

    ReplyDelete
  11. apne sach me seo kya hota hai ke bare me bhut hi aache trike se bataya hai

    ReplyDelete
  12. Awesome post. 100% Quility post hai ye bhai. pahle to socha tha ke isme wahi purani wali battein hogi par bhut mst post likhi hai.

    Thanks
    Amy

    ReplyDelete
  13. bhai mere bohut hi badhiya post likhi hai apne such me 1 number. aise hi hamare liye aur naye naye posts laate rahe.

    HindiUrduInfo

    HTML Kya Hai | HTML Full Form | Coding Seekhein

    SEO Kya Hai | Website ko No 1 Page par Rank Kaise Kare

    ReplyDelete
    Replies
    1. apko mera post acha laga iske liye dhanyawaad

      Delete
  14. I really like it when individuals come together and share thoughts. Great blog, continue the good work!
    Buy Instagram Followers

    ReplyDelete
  15. I appreciate you finding the time and effort to put this article together reading and leaving comments. But so what, it was still
    worthwhile!

    ReplyDelete
  16. गौरव जी आपने मुझे बहुत अच्छा लगा इसको देख कर मैं चाहूंगा कि में भी ब्लाक बना पाऊं.

    ReplyDelete
  17. Very nice blog gaurav ji mujhe bahut achcha laga isko padh kar main bhi chahunga ki main bhi block banaa paaun dhanyvad

    ReplyDelete
  18. गौरव जी आपने मुझे बहुत अच्छा लगा इसको देख कर मैं चाहूंगा कि में भी ब्लाक बना पाऊं.

    ReplyDelete
  19. Really thanks for sharing this useful post !! This post is very informative and helpful for my business related to subscription management platform.

    ReplyDelete
  20. Its a so nice and tremendous blog post.

    http://bolgameshowluckydraw.blogspot.com

    ReplyDelete