AssistMeIndia - About Blogging, Internet, Earn Money in Hindi

Assist Me India - Hindi Me Padhe Aur Sikhe

Monday, 3 December 2018

Blogger Me Third Party Template Kaise Upload Karen -- Hindi Me

Doston aaj  me aapko bataunga ki Blogspot me Third Party Template Kaise Upload karte hain.





Jis tarah ham koi School/College ka project banate hai to usme ham
bohot sari sajawat (Design) karte hai us project ko ham ek new look dete hai jisko dekhkar hamari teacher/friends impress hote hai.

Blogspot me Template bhi waisa hi kaam karta hai, ye hamare blog ko ek naya look deta hai. Waise toh aap apne blog me badi mehnat se original content likhte hai fir bhi Website/Blog ke visitors nahi badhte. New blogger ko sabse badi problem yahi hoti hai ki itni mehnat se post likhte hai fir b visitors nahi increase hote.


Visitors ko impress karne ke liye Template/Themes bohot imp role nibhate hai, ye hamare blog ko ek naya look deta hai jisko dekhkar Visitors baar baar akar apki Website/Blog par visit karte hain. 




Template Kaisa Hona Chaiye



Jaisa ki mene bataya ki Blogger ko amazing look dene ke liye template bohot important role nibhata hai, par blogger ke Default theme itni achi nahi hai aur na hi wo Mobile friendly hote hai, theme ka look b itna attractive nahi hota.


 Template select karne se pehle 3 baaton ka rakhe dhyan:-
 Template kaisa hone chaiye:-


Faster Load : Apko aisa template select karna hai jiski loading         speed fast ho matlab koi visitor apki website/blog par visit               karega aur apka blog Open (load) hone me time lagayega isse           visitors irritate hokar apki website chorkar kisi aur ki site par           chala jayega.

Mobile Friendly :  Ajkal log Laptop/Desktop se jyada Mobile           par time spend karte hain isliye aap aisi template chune jo                 mobile par achi dikhe.

SEO Friendly :  Sabse jaruri baat apka template SEO friendly           hona bahut jaruri hai kyunki SEO apka Blog Google Search               Engine me show hone me madad karega.




SEO Friendly Template Kaha Se Download Karen                


SEO (Search Engine Optimization) friendly template apke blog ko Google search engine ke search result me show karke deta hai Jaisa aap upar image me dekhenge ki mene search engine me apne blog ka url likha toh google me mera blog search karke diya.
Iss tarah aap Keyword se b apne blog ko search kar sakte hai ye kaam SEO karta hai. Apka blog jitna SEO friendly hoga Google apke blog ko search engine list me add karega sath hi Top 10 list me bhi aapka blog aa sakta hai.

SEO friendly template download karne ki bohot saari websites hai usme kuch FREE hai aur kuch PAID (Premium) Templates.

Me apko kuch sites ki jankari dunga jaha se aap Templates Download kar sakte hain.

➧ Templates Yard : Mene apne blog ke liye template is site se hi purchase ki hai isme apko FREE aur PAID dono version milenge
Agar aap Cheap price par Templates purchase karna chahte hai to
yaha apko $10 tak template mil jayegi.


➧ Gooyabitemplates : Gooyabitemplates apko SEO Ready Blogger Templates provide karta hai sath hi apko yahan completely Free templates yaha milegi.

➧ My Blogger Themes : Yaha aap apni jarurat ke hisab se template choose kar sakte hai jaise Column, Design, Style, Features.


➧ Theme Forest : Agar aapka blog Wordpress par hai to aap yaha se template Download kar sakte hai yaha apko Premium templates milegi.

➧ Lovely Templates : Is site par apko Free Premium Templates milegi. Yaha aap apne requirement ke hisab se Template select kar sakte hain. Pehle Category select karen fir Usage par click karen fir Features select karen uske baad Layout aur Color.



Free aur Paid Template Ke Fayde aur Nuksaan


Agar aap newbie hai aur aap blogging sikh rahe hai to apko template purchase nahi karni chaiye agar apne template purchase kar li aur apna blog b create kar liya bohot sare post bhi kar diye uske baad b apke blog me visitors nahi aaye aur apne irritate hokar blog banana chor diya to isme apke paise waste ho jayenge.

Pehle aap Free template use karke blog banaye blogging ke bare me research karen aur jab aap blogging ke baare me acche se jaan jayenge ki blog kya hota hai blog kaise banate hai usme social media ka use kaise karte hai aur earning ke liye adsense me apply kaise karte hai fir aap template purchase kar sakte hai.


Free Template : Free template me sabse bada nuksaan ye hai ki ham us HTML ko edit karke change nahi kar sakte bina permission ke isme ham template ke FOOTER credit ko remove nahi kar sakte.

Free template me Hard aur Mashup coding hoti hai isme Stylesheet aur Javascript ko samajne me dikkat aati hai aur Color & Size customize karna tough hota hai.

Paid (Premium) Template : Premium template encrypted nahi hoti iski javascript bhi encrypted nahi hoti, paid/licensed template ke FOOTER credit ko ham remove karke apna naam ya blog ka naam add kar sakte hai.

Iski coding customized aur clean hoti hai aur Paid version me apne jaha se template purchase ki hai wo apko template ke liye Full Support deta hai - Matlab apko html coding me kuch issue aata hai toh wo apko us error ko correct karne me pura support karega.



Template Upload Karne Ki Steps 

Step 1st -

Sabse pehle aap apne blogger.com me google account se login kare
fir apne blogger ke Dashboard par jaye uske baad Theme ka option
milega.



Par Theme par click karne ke baad Right side me sabse upar Bacup/Restore ka option dikhega ab apko Backup/Restore par click
karna hai.

Blogger Dashboard=>Themes=>Backup/Restore



Backup/Restore par click karne par apko kuch options milenge Download=>Choose File=>Upload

Ab apko apna template upload karne se pehle Current template ko Download karke uska backup le le (New theme me kuch error aa gaya aur apka content delete ho gaya isliye Backup lekar rakhiye).

Ab apne apna current template ka backup le liya hoga uske baad Choose File par click kar apna Download kiya hua New template select karo aur Upload kar click karo aur Close kar do.

Doston aaj hamne sikha ki new template ko upload kaise karte hai, agar apko upload karne me pareshani ho rahi hai to aap comment box me puch sakte hai.

aapko ye post pasand aya hai to apne doston se aur social media par share jarur karen.

No comments:

Post a Comment