AssistMeIndia - About Blogging, Internet, Earn Money in Hindi

Assist Me India - Hindi Me Padhe Aur Sikhe

Monday 3 December 2018

Apne Blog Post Ko Chori Hone Se Kaise Bachaye -- How To Disable Copy & Right Click



Aaj me apko bataunga ki Blogger me blog post ke content ko chori hone se kaise bachaye, How to disable copy content and How to disable right click on image. Internet me har din ek naya blogger blog banata hai aise me kuch blogger din raat mehnat karke ek ek post likhte hai aur uska blog popular bhi ho jata hai uske blog visitors bhi bahut jada hote hain aur Earning bhi achi khaasi ho rahi hai, aise me koi blogger akar apke post ke content copy karke khud me blog me publish karde. Isme us blogger ka nuksan hota hai jo din raat mehnat karke content likhta hai.



Ye wo blogger hote hai jo bina mehnat kiye jald se jald aur jyada se jyada paise kamana chahte hain, Chahe usse dusro ka nuksan kyun na ho jaye. Jab koi kisi other blogger ke content aur image ko apne blog me copy paste karta hai toh isse us blogger ko pareshani hoti hai, isme us blogger ki mehnat waste ho jati hai aur uske visitors bhi kam hone lagte hai aur Google search ranking me us blogger ki rank dheere dheere niche girne lagti hai. Content copy jisne kia hai usko bhi jyada kuch fayda nahi hoga, kuch din us blogger ki earning, visitors aur ranking teeno badhegi par aapse jyada SMART Google hai.


Google smart isliye hai kyunki usko copyright content aur khud ke likhe content me farak pata hai. Google ko pata chal jata hai ki content aapne khud likha hai ya kahi se copy paste kiya hai. Google Adsense apko violation mail bhejega agar aapne content edit karke change nahi kiya toh Adsense apke blog me Ads provide karna band kar dega ya apka Account Suspend kar dega. Toh isme sirf us mehnat karne wale ko akele nuksaan nahi hoga balki jisne content copy kiya hai usko bhi nuksaan hoga. Par kuch log mehnat karna nahi jante.


" Success ki key Hard Work hoti hai, Shortcut nahi "

Toh doston ab me aapko kuch useful tarike batane wala hun jiski madad se aap bhi apne content aur image ko chori hone se bacha sakte hai. Aap mere blog me bhi dekh sakte hai ki Copy content disable hai aur image par Right Click karne par ek message show hoga "Image Context Menu is Disabled"  Jo ki aap niche di gayi Image me dekh sakte hain.




Blogger Me Blog Post Content Ko Copy Disable Karen


Sabse pehle me aapko jo tarika batane wala hun usse aap apne blog post ke content ko chori hone se bacha sakte hain, matlab apne blog post ke content ko copy disable kar sakte hai iska fayda ye hai ki isse koi apke content ko copy nahi kar payega. Me yaha apko ek Code provide karaunga jo ki aapko apne blog me install karni hai uske baad aapke blog ka koi bhi content chori nahi hoga. Apki mehnat barbaad nahi hogi.


CSS Code : Ab me aapko bataunga ki blogger me blog post ke content ko chori hone se bachane ke tarike. Me yaha apko ek CSS code provide karaunga.

Process : Step by Step
Sabse pehle aap apne blogger me login karen.
Uske baad Themes kar click karen.
Then Customize par click karen.
Ab aap Advanced par click karen.

Add CSS par click karen aur niche diya hua Code paste karden.



Doston ab aapne apne blog me ye code successfully installed kar liya hai check karne ke liye apni post ki link open karen aur dekhen ki ab apka content koi bhi copy nahi kar sakta hai. Ab apki mehnat ko koi aur chura nahi sakta. Aap Safe hai.



Blogger Me Image Ko Right Click Disable Kaise Karen

Abhi hamne sikha ki ham apne blog post ke content ko copy disable kaise karen. Jis tarah se hamne blog post content ko copy disable kiya usi tarah se ham apni khud ki create ki gayi images ko Right Click Disable kar sakte hai, isse koi hamare blog ki image download karke apne blog me nahi laga sakta.

Jis tarah se blog post content ko copy hone se bachana jaruri hai usi tarah Image ko bhi copy/download hone se bachana jaruri hai. Is post me main apko Image par Right Click Disable kaise karen sikhaunga. 

Sabse pehle niche diya hua code copy karle 👇





Ab apne upar diya hua code copy kar liya hoga, code copy karne ke baad aapko kuch steps follow karne padenge:


  • Sabse pehle code copy karen.
  • Uske baad apko blogger ke Dashboard par jana hai.
  • Ab aapko Themes par click karna hai.
  • Themes par click karne ke baad apko Edit Html par click karna hai.
  • Ab apko Html code ke andar click karna hai.
  • Click karne ke baad Ctrl+f  karna hai.
  • Ctrl+f  karne ke baad apko </head> search karna hai.

</head> search karne ke baad copy kiya hua code </head> ke niche paste karden aur ab Save Theme par click karen, apka code save ho chuka hai. Aaj hamne sikha hai ki apne blog post ke content aur Apne blog ki image ko chori hone se kaise bachaya ja sakta hai.

Agar aapko mera ye post pasand aya hai toh comment karke jarur bataye aur is post ko jyada se jyada social media aur apne doston ke sath share jarur karen.


2 comments: